Haan, haan
Dekho, dekho, kaisi baatein yahaan ki
Hain saath par hain saath naa bhi
Kya itni aasaan hain?
Dekho, dekho, jaise mere iraade
Vaise kahan tere yahaan the
Haan, kitni nadaan main
Mere husn ke ilaawa kabhi dil bhi maang lo naa
Haaye, pal mein main pighal jaaun, haan
Abh aisa naa karo ki dil jud naa paaye vaapis
Teri baaton se bikhar jaaun, haan
Maana zamana hai deewana
Isiliye tune naa jaana
Tere liye main kaafi hun
Dekho, dekho, yeh zamaane se thak kar
Aate ho kyun masoom ban kar?
Tere liye main kya hi hun? (Haan)
Phir aate kyun yahaan karne aankhon mein ho baarish?
Abh aaye toh theher jaao na
Aur puchcho naa zara mere din ke baare mein bhi
Bas itne mein sambhal jaaun, haan
Haan, ek din kabhi koi
Jab bhi padhe kahani teri
Lagta mujhe mere naam ka
Zikr kahi bhi hoga nahi
Haan, main yahin
Meri yeh aankhon mein, aankhon mein toh dekho
Dekho, yeh dil ka haal kya
Honthon se hota na bayaan
Meri yeh aankhon mein, aankhon mein toh dekho
Kaisa naseeb hai mera
Milke bhi naa mujhe mila
Meri yeh aankhon mein, aankhon mein toh dekho
Teri adhoori si wafa
Maangu, main maangu aur naa
Meri yeh aankhon mein, aankhon mein toh dekho
เข้าสู่ระบบเพื่อแสดงความคิดเห็น
Log in